ishq ki kaenat mein umr tamam ho gai
ishq kī kā.enāt meñ umr tamām ho ga.ī
jāgnā farz ho gayā niiñd harām ho ga.ī
Duub rahā thā āftāb duur thī manzil-e-murād
ab vo ġharīb kyā kare raah meñ shaam ho ga.ī
har har qadam meñ yās-o-ġham kāñTe bichhe haiñ har-qadam
zindagī aisī raah meñ mahv-e-ḳhirām ho ga.ī
ishq thā apne zo.am meñ ishq ko zid banī rahī
qissa huā na muḳhtasar umr tamām ho ga.ī
laakh chhupāyā rāz-e-dil lekin 'rashīd' kyā kareñ
ahl-e-nazar samajh ga.e baat ye aam ho ga.ī
ishq ki kaenat mein umr tamam ho gai
jagna farz ho gaya nind haram ho gai
Dub raha tha aaftab dur thi manzil-e-murad
ab wo gharib kya kare rah mein sham ho gai
har har qadam mein yas-o-gham kanTe bichhe hain har-qadam
zindagi aisi rah mein mahw-e-KHiram ho gai
ishq tha apne zoam mein ishq ko zid bani rahi
qissa hua na muKHtasar umr tamam ho gai
lakh chhupaya raaz-e-dil lekin 'rashid' kya karen
ahl-e-nazar samajh gae baat ye aam ho gai
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 185)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.