ishq mein aa ajab maza dekha
ishq meñ aa ajab mazā dekhā
ḳhvesh-o-begāna āshnā dekhā
nukta-e-īmān se vāqif ho
chehra-e-yār jā-ba-jā dekhā
balki ye bolnā takalluf hai
ham ne us ko sunā hai yā dekhā
dekhtā aap hai sune hai aap
na koī us ke mā-sivā dekhā
sūrat-e-gul meñ khilkhilā ke hañsā
shakl-e-bulbul meñ chahchahā dekhā
sham.a ho kar ke aur parvāna
aap ko aap meñ jalā dekhā
kar ke da.avā kahīñ anal-haq kā
bar sar-e-dār vah khiñchā dekhā
thā vah bartar shumā-o-mā se 'niyāz'
phir vahī ab shumā-o-mā dekhā
ishq mein aa ajab maza dekha
KHwesh-o-begana aashna dekha
nukta-e-iman se waqif ho
chehra-e-yar ja-ba-ja dekha
balki ye bolna takalluf hai
hum ne us ko suna hai ya dekha
dekhta aap hai sune hai aap
na koi us ke ma-siwa dekha
surat-e-gul mein khilkhila ke hansa
shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
shama ho kar ke aur parwana
aap ko aap mein jala dekha
kar ke dawa kahin anal-haq ka
bar sar-e-dar wah khincha dekha
tha wah bartar shuma-o-ma se 'niyaz'
phir wahi ab shuma-o-ma dekha
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.