ishq meñ hāl-e-jahāñ naua-e-digar hone lagā
ai parī dīvāna tujh par har bashar hone lagā
husn se āgāh ab vo be-ḳhabar hone lagā
ā.īna jo us ko manzūr-e-nazar hone lagā
raounaq-afzā bām-par vo beshtar hone lagā
band maare bhiiḌ ke ab rahguzar hone lagā
gosh-zad jis ke huā sar-gashtaqī kā merī haal
uñgliyāñ kānoñ meñ diiñ daurān-e-sar hone lagā
ik na ik iizā rahī har dam badaulat ishq ke
dard-e-dil achchhā huā dard-e-jigar hone lagā
vasl kī shab ho chukī paidā hue āsār-e-sub.h
paar dil ke nāla-e-murġh-e-sahar hone lagā
jis ne motī gosh meñ dekhā tire kahne lagā
hai tamāshā kaan se paidā guhar hone lagā
mai-kashī mauqūf jām-o-shīshā rakh bālā-e-tāq
rañg -e-mahfil sāqiyā nau-e- digar hone lagā
rū-e-anvar par huā āġhāz ḳhatt-e-rū-siyāh
ye baḌā andher ai rashk-e-qamar hone lagā
mere marne kī jo dī us huur ko jā kar ḳhabar
sunte hī irshād finnār-o-saqar hone lagā
jhūlne ko jab hiñDole par chaḌhā vo rashk-e-mehr
maiñ ye samjhā āsmāñ zer-o- zabar hone lagā
sher sun kar mudda.ī marne lage kaTne lage
ab suḳhan meñ mere saifī kā asar hone lagā
le ke dil sūrat chhupāne se bhalā kyā fā.eda
be-muravvat ab to jānoñ kā zarar hone lagā
arsh tak jis din ga.ī āh-e-rasā sun liijo 'rind'
ālam-e-bālā meñ shor-e-al-hazar hone lagā
ishq mein haal-e-jahan naua-e-digar hone laga
ai pari diwana tujh par har bashar hone laga
husn se aagah ab wo be-KHabar hone laga
aaina jo us ko manzur-e-nazar hone laga
raounaq-afza baam-par wo beshtar hone laga
band mare bhiD ke ab rahguzar hone laga
gosh-zad jis ke hua sar-gashtaqi ka meri haal
ungliyan kanon mein din dauran-e-sar hone laga
ek na ek iza rahi har dam badaulat ishq ke
dard-e-dil achchha hua dard-e-jigar hone laga
wasl ki shab ho chuki paida hue aasar-e-subh
par dil ke nala-e-murgh-e-sahar hone laga
jis ne moti gosh mein dekha tere kahne laga
hai tamasha kan se paida guhar hone laga
mai-kashi mauquf jam-o-shisha rakh baala-e-taq
rang -e-mahfil saqiya nau-e- digar hone laga
ru-e-anwar par hua aaghaz KHatt-e-ru-siyah
ye baDa andher ai rashk-e-qamar hone laga
mere marne ki jo di us hur ko ja kar KHabar
sunte hi irshad finnar-o-saqar hone laga
jhulne ko jab hinDole par chaDha wo rashk-e-mehr
main ye samjha aasman zer-o- zabar hone laga
sher sun kar muddai marne lage kaTne lage
ab suKHan mein mere saifi ka asar hone laga
le ke dil surat chhupane se bhala kya faeda
be-murawwat ab to jaanon ka zarar hone laga
arsh tak jis din gai aah-e-rasa sun lijo 'rind'
aalam-e-baala mein shor-e-al-hazar hone laga
Source :
- Book : Deewan-e-Rind (Pg. 23)
- Author : Sayyed Mohammad Khan Rind
-
Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
(1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.