ishq mein KHud husn ghaarat-gar luTa
ishq meñ ḳhud husn ġhārat-gar luTā
lūTne vaalā yahāñ aakar luTā
thā dil-e-barbād meñ ābād kaun
lūTne vaale ye kis kā ghar luTā
naqd-e-dīn-o-naqd-e-īmāñ naqd-e-dil
paas jo kuchh ho luTā un par luTā
bul-havas the aql ke sarmāya-dār
ishq meñ nādār hī aksar luTā
thī mohabbat hī vo rāh-e-pur-ḳhatar
saath rah-rau ke jahāñ rahbar luTā
lūTne vāloñ kā shikvā kuchh nahīñ
apne hāthoñ hī 'zahīn' aksar luTā
ishq mein KHud husn ghaarat-gar luTa
luTne wala yahan aakar luTa
tha dil-e-barbaad mein aabaad kaun
luTne wale ye kis ka ghar luTa
naqd-e-din-o-naqd-e-iman naqd-e-dil
pas jo kuchh ho luTa un par luTa
bul-hawas the aql ke sarmaya-dar
ishq mein nadar hi aksar luTa
thi mohabbat hi wo rah-e-pur-KHatar
sath rah-rau ke jahan rahbar luTa
luTne walon ka shikwa kuchh nahin
apne hathon hi 'zahin' aksar luTa
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.