ishq ne dil ko nau-jawan kiya
ishq ne dil ko nau-javān kiyā
hijr ne tan ko nā-tavān kiyā
terī ulfat ne ham se ai pyāre
ek aalam ko bad-gumān kiyā
phir ga.e ham se āshnā-e-qadīm
ishq meñ sab kā imtihān kiyā
qissa-e-ishq sab ga.e the bhuul
taaza ham ne ye dāstān kiyā
uḌ gayā sun ke hosh nāseh kā
hāl-e-dil maiñ ne jab bayān kiyā
kahiye is tifl ko javān tāle.a
piir ko jis pe mehrbān kiyā
kyā ajab hai vo tālib us kā ho
jis ne matlūb ik jahān kiyā
hai vo be-shak 'turāb' kā jānāñ
sadqe jis par maiñ apnā jaan kiyā
ishq ne dil ko nau-jawan kiya
hijr ne tan ko na-tawan kiya
teri ulfat ne hum se ai pyare
ek aalam ko bad-guman kiya
phir gae hum se aashna-e-qadim
ishq mein sab ka imtihan kiya
qissa-e-ishq sab gae the bhul
taza hum ne ye dastan kiya
uD gaya sun ke hosh naseh ka
haal-e-dil main ne jab bayan kiya
kahiye is tifl ko jawan talea
pir ko jis pe mehrban kiya
kya ajab hai wo talib us ka ho
jis ne matlub ek jahan kiya
hai wo be-shak 'turab' ka jaanan
sadqe jis par main apna jaan kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.