ishq ne jakDa hai mujhko is kaDi zanjir se
ishq ne jakDa hai mujhko is kaDi zanjir se
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
ishq ne jakḌā hai mujh ko is kaḌī zanjīr se
jis ke halqe khul nahīñ sakte kisī tadbīr se
aur hī kuchh ho shab-e-furqat ke kaTne kī sabīl
dil tasavvur se bahaltā hai na ab tasvīr se
ḳhat ise mat kah ye likhā hai mirī taqdīr kā
dil ko hai ik rabt terī shoḳhi-e-tahrīr se
zindagī-bhar ik suhānā ḳhvāb ham dekhā kiye
terī sūrat mil ga.ī us ḳhvāb kī ta.abīr se
us nigāh-e-nāz par sadqe dil-o-jāñ ho ga.e
aap ne dekhā nishāne do uḌe ik tiir se
ab to bas do hichkiyoñ kī baat baaqī rah ga.ī
aap ne pūchhā mujhe lekin baḌī tāḳhīr se
ġham kī tanhā.ī ke sannāTe meñ tanhā thā 'nasīr'
thā to kho jaatā magar tum mil ga.e taqdīr se
ishq ne jakDa hai mujh ko is kaDi zanjir se
jis ke halqe khul nahin sakte kisi tadbir se
aur hi kuchh ho shab-e-furqat ke kaTne ki sabil
dil tasawwur se bahalta hai na ab taswir se
KHat ise mat kah ye likha hai meri taqdir ka
dil ko hai ek rabt teri shoKHi-e-tahrir se
zindagi-bhar ek suhana KHwab hum dekha kiye
teri surat mil gai us KHwab ki tabir se
us nigah-e-naz par sadqe dil-o-jaan ho gae
aap ne dekha nishane do uDe ek tir se
ab to bas do hichkiyon ki baat baqi rah gai
aap ne puchha mujhe lekin baDi taKHir se
gham ki tanhai ke sannaTe mein tanha tha 'nasir'
tha to kho jata magar tum mil gae taqdir se
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 700)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.