ishq satata hai kyun aa mujhe har aan tu
ishq satata hai kyun aa mujhe har aan tu
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ishq satātā hai kyuuñ aa mujhe har aan tū
mere to ārām kā le gayā sāmān tū
sabr-o-qarār shakeb tāb-o-tavāñ aql-o-dīñ
sab ne to lī apnī raah rah ga.ī ik jaan tū
dekhā nahīñ hai hunūz chehra-e-dildār ko
kis ko take hai bhalā dīda-e-hairān tū
ġham ne to hamdam bigāḌ dī mirī sab haisiyat
mānūñ tujhe maiñ agar le mujhe pahchān tū
pūchhe hai har ek se kis kā hai āshiq 'niyāz'
tujh ko nahīñ hai ḳhabar aisā hai anjān tū
ishq satata hai kyun aa mujhe har aan tu
mere to aaram ka le gaya saman tu
sabr-o-qarar shakeb tab-o-tawan aql-o-din
sab ne to li apni rah rah gai ek jaan tu
dekha nahin hai hunuz chehra-e-dildar ko
kis ko take hai bhala dida-e-hairan tu
gham ne to hamdam bigaD di meri sab haisiyat
manun tujhe main agar le mujhe pahchan tu
puchhe hai har ek se kis ka hai aashiq 'niyaz'
tujh ko nahin hai KHabar aisa hai anjaan tu
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 153)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.