naz-o-andaz ka iKHlas ka danai ka
nāz-o-andāz kā iḳhlās kā dānā.ī kā
dil hai dil-dāda tire jalva-e-zebā.ī kā
aap aa jaanā vakālat ke liye mahshar meñ
rab ke darbār meñ jo vaqt ho sunvā.ī kā
aañkh bhī paas rakhūñ aur na dekhūñ tum ko
koī matlab hī nahīñ phir mirī bīnā.ī kā
zaḳhm dene kī to fitrat hai tirī detā jā
hai hunar mere bhī nashr meñ masīhā.ī kā
jalva-e-yār jo dekhā to ḳhudā yaad aayā
dil meñ paidā huā armān jabīñ-sā.ī kā
ġhair ne le lī virāsat jo mirī hairat kyā
aaj to khāne lagā bhaa.ī bhī haq bhaa.ī kā
mashvara hai ye hamārā ki sadā jhuk ke chalo
tum ko 'iz.hār' jo armān hai ūñchā.ī kā
naz-o-andaz ka iKHlas ka danai ka
dil hai dil-dada tere jalwa-e-zebai ka
aap aa jaana wakalat ke liye mahshar mein
rab ke darbar mein jo waqt ho sunwai ka
aankh bhi pas rakhun aur na dekhun tum ko
koi matlab hi nahin phir meri binai ka
zaKHm dene ki to fitrat hai teri deta ja
hai hunar mere bhi nashr mein masihai ka
jalwa-e-yar jo dekha to KHuda yaad aaya
dil mein paida hua arman jabin-sai ka
ghair ne le li wirasat jo meri hairat kya
aaj to khane laga bhai bhi haq bhai ka
mashwara hai ye hamara ki sada jhuk ke chalo
tum ko 'izhaar' jo arman hai unchai ka
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 305)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.