tham ke baiTh zara KHud ko dil-e-zar abhi
thaam ke baiTh zarā ḳhud ko dil-e-zār abhī
be-naqāb aa.egā vo husn-e-tarah-dār abhī
husn kī sham.a ko qindīl se bāhar kiije
jazba-e-ishq ko ik aañch hai darkār abhī
qāfila kaise vahāñ jāygā manzil kī taraf
ḳhud hī bhaTkā hai jahāñ qāfila-e-sālār abhī
jab talak maañ kī duāoñ ke nagīne na jaḌeñ
phir samajh le ke tirā taaj hai be-kār abhī
manzil-e-haq pe pahuñchnā hai to phir sabr bhī kar
biich meñ ā.eñge kuchh marhale dushvār abhī
jab talak diid kā sharbat na piyegā saaqī
uThne vaalā nahīñ mai-ḳhāne se 'iz.hār' abhī
tham ke baiTh zara KHud ko dil-e-zar abhi
be-naqab aaega wo husn-e-tarah-dar abhi
husn ki shama ko qindil se bahar kije
jazba-e-ishq ko ek aanch hai darkar abhi
qafila kaise wahan jayga manzil ki taraf
KHud hi bhaTka hai jahan qafila-e-salar abhi
jab talak man ki duaon ke nagine na jaDen
phir samajh le ke tera taj hai be-kar abhi
manzil-e-haq pe pahunchna hai to phir sabr bhi kar
bich mein aaenge kuchh marhale dushwar abhi
jab talak did ka sharbat na piyega saqi
uThne wala nahin mai-KHane se 'izhaar' abhi
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 309)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.