iztirab-e-ashiqi phir kar-farma ho gaya
iztirāb-e-āshiqī phir kār-farmā ho gayā
sabr merā nā-shakebā.ī sarāpā ho gayā
sādgī-hā-e-tamannā ke maze jaate rahe
ho ga.e mushtāq ham aur vo ḳhud-ārā ho gayā
vaa.e nākāmī na samjhā kaun hai pesh-e-nazar
maiñ ki husn-e-yār kā mahv-e-tamāshā ho gayā
naujavānī thī koī shaidā na thā mere sivā
ek husn-e-kār kā vo bhī zamāna ho gayā
shorisheñ jaatī rahīñ vo ārzū-e-vasl kī
rañj-e-dūrī marham-e-zaḳhm-e-tamanna ho gayā
sehr vo kyā thā nigāh-e-āshnā-e-yār meñ
jo dil-e-bīmār ke haq meñ masīhā ho gayā
zabt se rāz-e-mohabbat kā chhupānā thā muhāl
shauq gar pinhāñ huā ġham āshkārā ho gayā
hai zabān-e-lucknow meñ rañg-e-dehlī kā numūd
tujh se 'hasrat' naam raushan shā.irī kā ho gayā
iztirab-e-ashiqi phir kar-farma ho gaya
sabr mera na-shakebai sarapa ho gaya
sadgi-ha-e-tamanna ke maze jate rahe
ho gae mushtaq hum aur wo KHud-ara ho gaya
wae nakaami na samjha kaun hai pesh-e-nazar
main ki husn-e-yar ka mahw-e-tamasha ho gaya
naujawani thi koi shaida na tha mere siwa
ek husn-e-kar ka wo bhi zamana ho gaya
shorishen jati rahin wo aarzu-e-wasl ki
ranj-e-duri marham-e-zaKHm-e-tamanna ho gaya
sehr wo kya tha nigah-e-ashna-e-yar mein
jo dil-e-bimar ke haq mein masiha ho gaya
zabt se raaz-e-mohabbat ka chhupana tha muhaal
shauq gar pinhan hua gham aashkara ho gaya
hai zaban-e-lucknow mein rang-e-dehli ka numud
tujh se 'hasrat' nam raushan shairi ka ho gaya
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 103)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Dehli (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.