jam ka etibar kya kaam-o-dahan bhi kuchh nahin
jaam kā e'tibār kyā kām-o-dahāñ bhī kuchh nahīñ
dair-o-haram ko kyā kahūñ kaun-o-makāñ bhī kuchh nahīñ
soz-e-nihāñ bhī kuchh nahīñ husn-e-'ayāñ bhī kuchh nahīñ
yā'nī yahāñ bhī kuchh nahīñ aur vahāñ bhī kuchh nahīñ
ye bhī tirī nigāh se vo bhī tire ḳhayāl se
josh-e-junūñ bhī kuchh nahīñ dard-e-nihāñ bhī kuchh nahīñ
zauq-e-niyāz tak raheñ husn kī be-niyāziyāñ
merā jahāñ to thā hī kyā terā jahāñ bhī kuchh nahīñ
tum ho surūr-e-dil sahī tum ho sukūn-e-jāñ magar
ye merā dil bhī kuchh nahīñ ye merī jaañ bhī kuchh nahīñ
kar ke tabāh jān-o-dil dard-e-nihāñ milā mujhe
aa ga.e paas tum to ab dard-e-nihāñ bhī kuchh nahīñ
aap hī ḳhud sambhāl le aake hudūd-e-nāz ko
ho gayā gum jo maiñ to phir terā nishāñ bhī kuchh nahīñ
ḳhud mirā mudda'ā batā ḳhud hī use qubūl kar
merī du'ā bhī kuchh nahīñ merī zabāñ bhī kuchh nahīñ
jam ka e'tibar kya kaam-o-dahan bhi kuchh nahin
dair-o-haram ko kya kahun kaun-o-makan bhi kuchh nahin
soz-e-nihan bhi kuchh nahin husn-e-'ayan bhi kuchh nahin
ya'ni yahan bhi kuchh nahin aur wahan bhi kuchh nahin
ye bhi teri nigah se wo bhi tere KHayal se
josh-e-junun bhi kuchh nahin dard-e-nihan bhi kuchh nahin
zauq-e-niyaz tak rahen husn ki be-niyaziyan
mera jahan to tha hi kya tera jahan bhi kuchh nahin
tum ho surur-e-dil sahi tum ho sukun-e-jaan magar
ye mera dil bhi kuchh nahin ye meri jaan bhi kuchh nahin
kar ke tabah jaan-o-dil dard-e-nihan mila mujhe
aa gae pas tum to ab dard-e-nihan bhi kuchh nahin
aap hi KHud sambhaal le aake hudud-e-naz ko
ho gaya gum jo main to phir tera nishan bhi kuchh nahin
KHud mera mudda'a bata KHud hi use qubul kar
meri du'a bhi kuchh nahin meri zaban bhi kuchh nahin
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.