jaan chhuTe uljhanon se apni ye qismat nahin
jaan chhūTe uljhanoñ se apnī ye qismat nahīñ
maut bhī aa.e to marne kī mujhe fursat nahīñ
ham adū se pūchhte haiñ bazm meñ aatā hai kyuuñ
aap se jhagḌā nahīñ hai aap se hujjat nahīñ
dard kī sūrat uThā aañsū kī sūrat gir paḌā
jab se vo himmat nahīñ kisī bal nahīñ tāqat nahīñ
ek haiñ nazroñ meñ shaiḳh-o-vā.iz-o-pīr-e-muġhāñ
tere mastoñ ko kisī ke haath par bai.at nahīñ
aur haiñ jin ko hai ḳhabt-e-ishq-e-hūrān-e-jināñ
ham ko saudā-e-havā-e-gulshan-e-jannat nahīñ
us ne likkhā ḳhat meñ ye shikva na karnā jaur kā
ham ne likh bhejā hai itnā apnī ye aadat nahīñ
bistar-e-rāhat faqat insāñ ko hai a.amāl-e-ḳhair
farsh-e-maḳhmal bhī lahad meñ ho to kuchh rāhat nahīñ
sham.a mahfil meñ rahā kartī hai bulbul baaġh meñ
sāhab-e-tauqīr kī dekho kahāñ izzat nahīñ
baḌh rahā hai dard-e-dil āñkhoñ meñ phirtī hai ajal
ai shab-e-ġham aaj bachne kī koī sūrat nahīñ
be-kasoñ kī kaun suntā hai kahānī bād-e-marg
kis ghaḌī nālāñ zabān-e-sabza-e-turbat nahīñ
ḳhān-e-kunj-e-lahad meñ kyā ḳhamoshī chhā.ī hai
koī apnā koī monis koī ham-sohbat nahīñ
rahte haiñ har-dam numā.ish se barī ahl-e-kamāl
ḳhud-pasandī kī kabhī tasvīr ko aadat nahīñ
sham.a kal hogī na ye chādar rahegī phuul kī
ḳhāna-e-kunj-e-lahad minnat-kash-e-zīnat nahīñ
pairvī-e-bandish-e-'taslīm' go kartā huuñ 'arsh'
phir bhī ma.anī meñ bulandī lafz meñ shaukat nahīñ
jaan chhuTe uljhanon se apni ye qismat nahin
maut bhi aae to marne ki mujhe fursat nahin
hum adu se puchhte hain bazm mein aata hai kyun
aap se jhagDa nahin hai aap se hujjat nahin
dard ki surat uTha aansu ki surat gir paDa
jab se wo himmat nahin kisi bal nahin taqat nahin
ek hain nazron mein shaiKH-o-waiz-o-pir-e-mughan
tere maston ko kisi ke hath par baiat nahin
aur hain jin ko hai KHabt-e-ishq-e-huran-e-jinan
hum ko sauda-e-hawa-e-gulshan-e-jannat nahin
us ne likkha KHat mein ye shikwa na karna jaur ka
hum ne likh bheja hai itna apni ye aadat nahin
bistar-e-rahat faqat insan ko hai aamal-e-KHair
farsh-e-maKHmal bhi lahad mein ho to kuchh rahat nahin
shama mahfil mein raha karti hai bulbul bagh mein
sahab-e-tauqir ki dekho kahan izzat nahin
baDh raha hai dard-e-dil aankhon mein phirti hai ajal
ai shab-e-gham aaj bachne ki koi surat nahin
be-kason ki kaun sunta hai kahani baad-e-marg
kis ghaDi nalan zaban-e-sabza-e-turbat nahin
KHan-e-kunj-e-lahad mein kya KHamoshi chhai hai
koi apna koi monis koi ham-sohbat nahin
rahte hain har-dam numaish se bari ahl-e-kamal
KHud-pasandi ki kabhi taswir ko aadat nahin
shama kal hogi na ye chadar rahegi phul ki
KHana-e-kunj-e-lahad minnat-kash-e-zinat nahin
pairwi-e-bandish-e-'taslim' go karta hun 'arsh'
phir bhi mani mein bulandi lafz mein shaukat nahin
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 93)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.