jatā hai mere ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz
jaatā hai mire ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz
hai zindagī ab mushkil be-yār ḳhudā-hāfiz
vo mast-e-sharāb-e-husn ġhusse se nihāyat hī
khīñche ho.e aatā hai talvār ḳhudā-hāfiz
mujh paas tabīb aa ke kahne lagā ai yaar
be-tarah kā hai is ko āzār ḳhudā-hāfiz
hāsil nahīñ darmāñ kā vo hai ye maraz jis se
jāñ-bar na huā koī bīmār ḳhudā-hāfiz
be-tarah kuchh īdhar ko vo mast-e-sharāb-e-husn
khīñche hue aatā hai talvār ḳhudā-hāfiz
ai shaiḳh tū us but ke kūche meñ to jaatā hai
ho jaa.e na ye sub.ha zunnār ḳhudā-hāfiz
Dartā huuñ ki dil har dam maltā hai na ho jaave
us chashm-e-sitam-gar kā bīmār ḳhudā-hāfiz
yuuñ mehr se farmāyā us maah ne vaqt-e-sub.h
ham jaane haiñ ab terā 'bedār' ḳhudā-hāfiz
jatā hai mere ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz
hai zindagī ab mushkil be-yār ḳhudā-hāfiz
wo mast-e-sharāb-e-husn ġhusse se nihāyat hī
khīñche hoe aatā hai talwār ḳhudā-hāfiz
mujh pas tabīb aa ke kahne lagā ai yar
be-tarah kā hai is ko āzār ḳhudā-hāfiz
hāsil nahīñ darmāñ kā wo hai ye maraz jis se
jāñ-bar na huā koī bīmār ḳhudā-hāfiz
be-tarah kuchh īdhar ko wo mast-e-sharāb-e-husn
khīñche hue aatā hai talwār ḳhudā-hāfiz
ai shaiḳh tū us but ke kūche meñ to jatā hai
ho jae na ye subha zunnār ḳhudā-hāfiz
Dartā huñ ki dil har dam maltā hai na ho jawe
us chashm-e-sitam-gar kā bīmār ḳhudā-hāfiz
yuñ mehr se farmāyā us mah ne waqt-e-subh
hum jaane haiñ ab terā 'bedār' ḳhudā-hāfiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.