jate hue dam ko bhala roke koi kab tak
jaate hue dam ko bhalā roke koī kab tak
aanā hai to aa jā ki nafas baaqī hai ab tak
aatā hai nazar haal burā dam-ba-dam is kā
bachne kā nahīñ sunte ho bīmār ye shab tak
kaunain se kyā kaam hai dīvāne ko tere
ārām na ho us ko tujhe dekhe na jab tak
Dartā nahīñ maiñ mohtasib aur shaiḳh se mullāñ
suntā hai mirā shor-e-junūñ pahuñchā hai sab tak
pahuñchī hai yahāñ zo’f se ye 'ishq' kī hālat
jo saañs yakā-yak nahīñ aa saktī hai lab tak
jate hue dam ko bhala roke koi kab tak
aana hai to aa ja ki nafas baqi hai ab tak
aata hai nazar haal bura dam-ba-dam is ka
bachne ka nahin sunte ho bimar ye shab tak
kaunain se kya kaam hai diwane ko tere
aaram na ho us ko tujhe dekhe na jab tak
Darta nahin main mohtasib aur shaiKH se mullan
sunta hai mera shor-e-junun pahuncha hai sab tak
pahunchi hai yahan zo’f se ye 'ishq' ki haalat
jo sans yaka-yak nahin aa sakti hai lab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.