jab KHayal aaya mujhe tere ruKH-e-pur-nur ka
jab ḳhayāl aayā mujhe tere ruḳh-e-pur-nūr kā
phir gayā naqsha merī āñkhoñ meñ chashm-e-tūr kā
aable paḌne lage pā-e-ḳhayāl-o-fikr meñ
hai ye aalam ātish-e-ġham se dil-e-mahrūr kā
ek nazar meñ jis ne lākhoñ ko kiyā be-hosh-o-mast
dekhne vaalā huuñ maiñ us nargis-e-maḳhmūr kā
juz malāl-o-huzn-o-andoh-o-haras-o-dard-o-ġham
aur koī ab nahīñ monis dil-e-ranjūr kā
faḳhr ye hai maiñ shah-e-'vāris' ke dar kā huuñ faqīr
martaba 'aughat' nahīñ jo qaisar-o-faġhfūr kā
jab KHayal aaya mujhe tere ruKH-e-pur-nur ka
phir gaya naqsha meri aankhon mein chashm-e-tur ka
aable paDne lage pa-e-KHayal-o-fikr mein
hai ye aalam aatish-e-gham se dil-e-mahrur ka
ek nazar mein jis ne lakhon ko kiya be-hosh-o-mast
dekhne wala hun main us nargis-e-maKHmur ka
juz malal-o-huzn-o-andoh-o-haras-o-dard-o-gham
aur koi ab nahin monis dil-e-ranjur ka
faKHr ye hai main shah-e-'waris' ke dar ka hun faqir
martaba 'aughat' nahin jo qaisar-o-faghfur ka
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 8)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.