jab ki idhar teri nigah paDi
jab ki idhar tirī nigāh paḌī
mere hī dil pe merī aah paḌī
be-tarah kuchh mire hī jaatā hai
dil pe hālat ajab tabāh paḌī
tū kare ab nibāh yā na kare
apne zimme to yaañ nibāh paḌī
dam-ba-dam yuuñ jo bad-gumānī hai
kuchh to āshiq kī tujh ko chaah paḌī
tere kūche meñ jaa.e bin na rahe
ab to vaañ kī 'asar' ko raah paḌī
jab ki idhar teri nigah paDi
mere hi dil pe meri aah paDi
be-tarah kuchh mere hi jata hai
dil pe haalat ajab tabah paDi
tu kare ab nibah ya na kare
apne zimme to yan nibah paDi
dam-ba-dam yun jo bad-gumani hai
kuchh to aashiq ki tujh ko chah paDi
tere kuche mein jae bin na rahe
ab to wan ki 'asar' ko rah paDi
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 225)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.