jab mausam-e-gul aan ke taid kare hai
jab mausam-e-gul aan ke taid kare hai
Ghulam Naqshband Sajjad
MORE BYGhulam Naqshband Sajjad
jab mausam-e-gul aan ke tā.īd kare hai
tab josh-e-junūñ aql kī tardīd kare hai
uThegā yahāñ phir na kabhī shor-e-tamannā
dil biich yahī yaas ab ummīd kare hai
jo beach mohabbat ke fanā hove hai ai dil
hāsil vahī to hastī-e-jāved kare hai
jis roz ki pahuñche hai na.ī koī musībat
us roz terā ḳhūgar-e-ġham iid kare hai
rakhe hai jabīñ dar pe tere gumbad-e-gardāñ
sajda tare darvāze par ḳhurshīd kare hai
'sajjād' jo samjhā hai ḳhud apne ta.iiñ maujūd
vo fahm nahīñ ma.anī-e-tauhīd kare hai
jab mausam-e-gul aan ke taid kare hai
tab josh-e-junun aql ki tardid kare hai
uThega yahan phir na kabhi shor-e-tamanna
dil bich yahi yas ab ummid kare hai
jo beach mohabbat ke fana howe hai ai dil
hasil wahi to hasti-e-jawed kare hai
jis roz ki pahunche hai nai koi musibat
us roz tera KHugar-e-gham id kare hai
rakhe hai jabin dar pe tere gumbad-e-gardan
sajda tare darwaze par KHurshid kare hai
'sajjad' jo samjha hai KHud apne tain maujud
wo fahm nahin mani-e-tauhid kare hai
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 123)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.