jab milī un se nazar miTne kā sāmāñ ho gayā
jab milī un se nazar miTne kā sāmāñ ho gayā
Gurbachan Singh Dayal
MORE BYGurbachan Singh Dayal
jab milī un se nazar miTne kā sāmāñ ho gayā
ai qazā ḳhush ho tirā ab kaam āsāñ ho gayā
dilrubā ma.alūm hotī haiñ mujhe tanhā.iyāñ
naqsh har shai kā mujhe tasvīr-e-jānāñ ho gayā
merī ḳhvāhish thī ki lūTūñ lazzat-e-duniyā magar
vus.at-e-hirs-o-havā se tañg dāmāñ ho gayā
baḌh rahī haiñ qīmateñ har chiiz kī bāzār meñ
ek aisā ġham hai jo ab aur arzāñ ho gayā
shomi-e-qismat kaheñ yā ḳhaslat-e-insāñ ise
aa ke qābiz bazm-e-hastī par ye mehmāñ ho gayā
sho.ala-zan hai dil yahāñ to dāġh-hā-e-rañj se
aur vo kahte haiñ ḳhush ho kar charāġhāñ ho gayā
dekh kar chāroñ taraf āsār-e-ġham āh-o-fuġhāñ
kyā karūñ 'maġhmūm dil merā hirāsāñ ho gayā
jab milī un se nazar miTne kā sāmāñ ho gayā
ai qazā ḳhush ho tirā ab kaam āsāñ ho gayā
dilrubā malūm hotī haiñ mujhe tanhāiyāñ
naqsh har shai kā mujhe taswīr-e-jānāñ ho gayā
merī ḳhwāhish thī ki lūTūñ lazzat-e-duniyā magar
wusat-e-hirs-o-hawā se tañg dāmāñ ho gayā
baḌh rahī haiñ qīmateñ har chiz kī bāzār meñ
ek aisā ġham hai jo ab aur arzāñ ho gayā
shomi-e-qismat kaheñ yā ḳhaslat-e-insāñ ise
aa ke qābiz bazm-e-hastī par ye mehmāñ ho gayā
shoala-zan hai dil yahāñ to dāġh-hā-e-rañj se
aur wo kahte haiñ ḳhush ho kar charāġhāñ ho gayā
dekh kar chāroñ taraf āsār-e-ġham āh-o-fuġhāñ
kyā karūñ 'maġhmūm dil merā hirāsāñ ho gayā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.