jab nigah-e-lutf mujh par aap ki ho jaegi
jab nigāh-e-lutf mujh par aap kī ho jā.egī
merī duniyā-e-mohabbat dūsrī ho jā.egī
tere jalvoñ se mujhe jab āgahī ho jā.egī
zarre zarre se numāyāñ raushnī ho jā.egī
maiñ ne qadmoñ par kisī ke sar rakhā thā fitratan
kyā ḳhabar thī farz ye bhī bandagī ho jā.egī
mujh se parda hī munāsib hai tirā parda-nashīñ
varna zauq-e-dīd meñ mere kamī ho jā.egī
dī sadā ye hātif-e-ġhaibī ne hañgām-e-duā
aarzū puurī 'azīz-e-vārsī' ho jā.egī
jab nigah-e-lutf mujh par aap ki ho jaegi
meri duniya-e-mohabbat dusri ho jaegi
tere jalwon se mujhe jab aagahi ho jaegi
zarre zarre se numayan raushni ho jaegi
main ne qadmon par kisi ke sar rakha tha fitratan
kya KHabar thi farz ye bhi bandagi ho jaegi
mujh se parda hi munasib hai tera parda-nashin
warna zauq-e-did mein mere kami ho jaegi
di sada ye hatif-e-ghaibi ne hangam-e-dua
aarzu puri 'aziz-e-warsi' ho jaegi
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 75)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.