Sufinama

jab se hua hai wo but-e-’ayyar yar yar

Khwaja Ruknuddin Ishq

jab se hua hai wo but-e-’ayyar yar yar

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    jab se huā hai vo but-e-’ayyār yaar yaar

    rotā huuñ tab se barsar-e-bāzār zaar zaar

    zindāñ-sarā jahāñ hai mirī jaan jān-e-jāñ

    mehmān us chāhe na zinhār haar haar

    aatā thā pahle ghar mire nāgāh gaah gaah

    bhaḌkāyā tuune āh-e-sharar-bār baar baar

    nā-haq use to rishta-e-jāñ se na na

    dil kar chukā hai jeb-e-giraftār taar taar

    jaate haiñ ham to hosh ke ham-rāh raah raah

    mansūr haiñ jo kah uTheñ dildār daar daar

    un gul-ruḳhoñ ke 'ishq meñ har phuul phuul phuul

    juuñ laala daaġh khāte haiñ nā-chār chaar chaar

    jab se hua hai wo but-e-’ayyar yar yar

    rota hun tab se barsar-e-bazar zar zar

    zindan-sara jahan hai meri jaan jaan-e-jaan

    mehman us ka chahe na zinhaar haar haar

    aata tha pahle ghar mere nagah gah gah

    bhaDkaya tune aah-e-sharar-bar bar bar

    na-haq use to rishta-e-jaan se na si na si

    dil kar chuka hai jeb-e-giraftar tar tar

    jate hain hum to hosh ke ham-rah rah rah

    mansur hain jo kah uThen dildar dar dar

    un gul-ruKHon ke 'ishq mein har phul phul phul

    jun lala dagh khate hain na-chaar chaar chaar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now