jab se meri nigah mein aa ke sama gaya koi
jab se mirī nigāh meñ aa ke samā gayā koī
hosh uḌā gayā koī mast banā gayā koī
ziist kī manzileñ na.ī mujh ko dikhā gayā koī
ishq kī ek aag sī dil meñ lagā gayā koī
aap pas-e-naqāb barq-e-tūr pe aa gayā koī
hosh uḌā gayā koī aag lagā gayā koī
mere junūn-e-ishq meñ hai vo latīf sī jhalak
husn jo parda Daal kar jalva dikhā gayā koī
merī ḳhushī ḳhushī nahīñ merā alam alam nahīñ
mujh ko hañsā gayā koī mujh ko rulā gayā koī
aaj to 'qaisar'-e-hazīñ ziist kī raah mil ga.ī
aa ke ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ shakl dikhā gayā koī
jab se meri nigah mein aa ke sama gaya koi
hosh uDa gaya koi mast bana gaya koi
zist ki manzilen nai mujh ko dikha gaya koi
ishq ki ek aag si dil mein laga gaya koi
aap pas-e-naqab barq-e-tur pe aa gaya koi
hosh uDa gaya koi aag laga gaya koi
mere junun-e-ishq mein hai wo latif si jhalak
husn jo parda Dal kar jalwa dikha gaya koi
meri KHushi KHushi nahin mera alam alam nahin
mujh ko hansa gaya koi mujh ko rula gaya koi
aaj to 'qaisar'-e-hazin zist ki rah mil gai
aa ke KHayal-o-KHwab mein shakl dikha gaya koi
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 206)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.