jab sitam karte hain wo gham aazmane ke liye
jab sitam karte haiñ vo ġham āzmāne ke liye
muskurā detā huuñ un kā dil baḌhāne ke liye
zauq-e-sajda jab huā tasvīr-e-jānāñ khīñch lī
ḳhud banā letā huuñ ka.aba sar jhukāne ke liye
gar mukammal ho ga.ī ḳhud-dārī-e-zauq-e-nazar
ḳhud-ba-ḳhud aa jā.eñge jalve manāne ke liye
kartī hai fitrat yahāñ tak nāz-bardārī-e-husn
aa.ī shabnam guloñ kā muñh dhulāne ke liye
aa gayā hai vaqt mere āḳhirī dīdār kā
aap bhī aa jā.iye sūrat dikhāne ke liye
ho ga.ī sākin zabāñ lab Thahar Thahar kar rah ga.e
jab milā mauqa ġham-e-ulfat sunāne ke liye
ranj-vo-ġham meñ sikuḌnā khel samjhe ho 'rashīd'
chāhiye patthar kā dil sadme uThāne ke liye
jab sitam karte hain wo gham aazmane ke liye
muskura deta hun un ka dil baDhane ke liye
zauq-e-sajda jab hua taswir-e-jaanan khinch li
KHud bana leta hun kaba sar jhukane ke liye
gar mukammal ho gai KHud-dari-e-zauq-e-nazar
KHud-ba-KHud aa jaenge jalwe manane ke liye
karti hai fitrat yahan tak naz-bardari-e-husn
aai shabnam gulon ka munh dhulane ke liye
aa gaya hai waqt mere aaKHiri didar ka
aap bhi aa jaiye surat dikhane ke liye
ho gai sakin zaban lab Thahar Thahar kar rah gae
jab mila mauqa gham-e-ulfat sunane ke liye
ranj-wo-gham mein sikuDna khel samjhe ho 'rashid'
chahiye patthar ka dil sadme uThane ke liye
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 186)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.