jab sun zahid ne suni us ruKH-e-pur-nur ki baat
jab sun zahid ne suni us ruKH-e-pur-nur ki baat
Qadir Bakhsh Bedil
MORE BYQadir Bakhsh Bedil
jab suuñ zāhid ne sunī us ruḳh-e-pur-nūr kī baat
bhul ga.ī us se tere shauq suuñ tab huur kī baat
bas-ki tere nain haiñ naaz ke sāġhar se mast
kyā karūñ us ke aage nargis-e-maḳhmūr kī baat
mahfil-e-bahs meñ mumtāz haiñ arbāb-e-ulūm
mahkama-e-ishq meñ manzūr hai mansūr kī baat
majlis-e-vajd meñ kyā kaam hai ḳhud-baināñ kā
bazm-e-rindāñ meñ nahīñ zāhid-e-mastūr kī baat
bil-yaqīñ āshiq-o-ma.ashūq haqīqat meñ haiñ ek
log kahte haiñ abas nāzir-e-manzūr kī baat
aql apne se kyā sirr-e-hūvīyat kā samajh
jo use kab na suneñ aise dastūr kī baat
vahova ma.akum mujhe detā hai tasallī 'bedil'
nahno-aqrab se farāmosh huī duur kī baat
jab sun zahid ne suni us ruKH-e-pur-nur ki baat
bhul gai us se tere shauq sun tab hur ki baat
bas-ki tere nain hain naz ke saghar se mast
kya karun us ke aage nargis-e-maKHmur ki baat
mahfil-e-bahs mein mumtaz hain arbab-e-ulum
mahkama-e-ishq mein manzur hai mansur ki baat
majlis-e-wajd mein kya kaam hai KHud-bainan ka
bazm-e-rindan mein nahin zahid-e-mastur ki baat
bil-yaqin aashiq-o-mashuq haqiqat mein hain ek
log kahte hain abas nazir-e-manzur ki baat
aql apne se kya sirr-e-huwiyat ka samajh
jo use kab na sunen aise dastur ki baat
wahowa makum mujhe deta hai tasalli 'bedil'
nahno-aqrab se faramosh hui dur ki baat
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 119)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.