jab un se meri pahli mulaqat hui thi
jab un se mirī pahlī mulāqāt huī thī
us din hī qiyāmat kī shurūāt huī thī
itnā hai mujhe yaad kabhī baat huī thī
rasman hī sahī un se mulāqāt huī thī
ḳhat paḌh ke ḳhafā to huā aur us ne kyā kahā
qāsid mire baare meñ koī baat huī thī
kuchh yaad nahīñ bāzī-e-ulfat kā natīja
tum jiit ga.e the ki hameñ maat huī thī
maiñ huuñ vo rah-e-ishq meñ mazlūm musāfir
manzil ke qarīb aa ke jise raat huī thī
haañ yaad hai mujh ko tire gesū kā bikharnā
barsā thā ye bādal kabhi barsāt huī thī
mahrūm huuñ ab ḳhvāb meñ bhī us kī jhalak se
jis ruḳh kī ziyārat mujhe din-rāt huī thī
ye chāñd ye taare bhī batāte haiñ chamak kar
taqsīm tire husn kī ḳhairāt huī thī
baiThe the sar-e-bazm 'nasīr' un ke qarīñ ham
kal raat kī ye baat hai kal raat huī thī
jab un se meri pahli mulaqat hui thi
us din hi qiyamat ki shuruat hui thi
itna hai mujhe yaad kabhi baat hui thi
rasman hi sahi un se mulaqat hui thi
KHat paDh ke KHafa to hua aur us ne kya kaha
qasid mere bare mein koi baat hui thi
kuchh yaad nahin bazi-e-ulfat ka natija
tum jit gae the ki hamein mat hui thi
main hun wo rah-e-ishq mein mazlum musafir
manzil ke qarib aa ke jise raat hui thi
han yaad hai mujh ko tere gesu ka bikharna
barsa tha ye baadal kabhi barsat hui thi
mahrum hun ab KHwab mein bhi us ki jhalak se
jis ruKH ki ziyarat mujhe din-raat hui thi
ye chand ye tare bhi batate hain chamak kar
taqsim tere husn ki KHairaat hui thi
baiThe the sar-e-bazm 'nasir' un ke qarin hum
kal raat ki ye baat hai kal raat hui thi
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 745)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.