jab wo uljhi zulfen suljhate hain hum
jab vo uljhī zulfeñ suljhāte haiñ ham
vo sulajhtī haiñ ulajh jaate haiñ ham
apne saath un ko lagā laate haiñ ham
nard kī sī chaal chal jaate haiñ ham
nabz merī dekh kar bolā tabīb
aap ruḳhsat ho chuke jaate haiñ ham
dil bhī kuchh ab ham se bal karne lagā
us ko mār-e-āstīñ paate haiñ ham
ye ishāre haiñ ġhazāl-e-chashm ke
āñḳheñ sheroñ ko bhī dikhlāte haiñ ham
kahte haiñ ye sikka-e-dāġh-e-junūñ
hoñ jo khoTe bhī to chal jaate haiñ ham
hai mai-e-ulfat kī kaifiyat hī aur
piite haiñ vo nashsha meñ aate haiñ ham
kūcha-e-gesū kī miTTī lā sabā
itr-e-ambar aaj khichvāte haiñ ham
ḳhuub is duniyā kī 'akbar' sair kī
ab sū-e-mulk-e-adam jaate haiñ ham
jab wo uljhi zulfen suljhate hain hum
wo sulajhti hain ulajh jate hain hum
apne sath un ko laga late hain hum
nard ki si chaal chal jate hain hum
nabz meri dekh kar bola tabib
aap ruKHsat ho chuke jate hain hum
dil bhi kuchh ab hum se bal karne laga
us ko mar-e-astin pate hain hum
ye ishaare hain ghazal-e-chashm ke
aanKHen sheron ko bhi dikhlate hain hum
kahte hain ye sikka-e-dagh-e-junun
hon jo khoTe bhi to chal jate hain hum
hai mai-e-ulfat ki kaifiyat hi aur
pite hain wo nashsha mein aate hain hum
kucha-e-gesu ki miTTi la saba
itr-e-ambar aaj khichwate hain hum
KHub is duniya ki 'akbar' sair ki
ab su-e-mulk-e-adam jate hain hum
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 146)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.