kahani aisi kabhi suni thi zara batao to munsifana
kahānī aisī kabhī sunī thī zarā batāo to munsifāna
bas aur kuchh der dil sambhālo tamām hai ab mirā fasāna
kuchh aise be-kaif aadmī bhī nazar ab aane lage haiñ jin kā
kabhī hai yārāna mohtasib se kabhī hai saaqī se dostāna
guzar gayā ahd-e-shādmānī rahī na baaqī koī nishānī
bahār ab hai na bāġh-o-bulbul na shāḳh-e-gul aur na āshiyāna
na shauq-e-parvāz kī ḳhatā hai na jazba-e-sair-bām-e-nāqis
likhā huā thā mire muqaddar meñ ab qafas hī kā āb-o-dānā
ġham-o-ḳhushī zindagī meñ apnī kuchh aise ghul mil ke rah ga.e haiñ
jamāl mere liye hai yaksāñ fuġhāñ ho yā naġhma-o-tarāna
kahani aisi kabhi suni thi zara batao to munsifana
bas aur kuchh der dil sambhaalo tamam hai ab mera fasana
kuchh aise be-kaif aadmi bhi nazar ab aane lage hain jin ka
kabhi hai yarana mohtasib se kabhi hai saqi se dostana
guzar gaya ahd-e-shadmani rahi na baqi koi nishani
bahaar ab hai na bagh-o-bulbul na shaKH-e-gul aur na aashiyana
na shauq-e-parwaz ki KHata hai na jazba-e-sair-baam-e-naqis
likha hua tha mere muqaddar mein ab qafas hi ka aab-o-dana
gham-o-KHushi zindagi mein apni kuchh aise ghul mil ke rah gae hain
jamal mere liye hai yaksan fughan ho ya naghma-o-tarana
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 96)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.