jahan mein dost kya sab hain hamare
jahāñ meñ dost kyā sab haiñ hamāre
jo aqrab haiñ so aqrab haiñ hamāre
hameñ ġhairoñ se kyā ummīd-e-yārī
vo itne āshnā kab haiñ hamāre
mohabbat meñ kisī se kyā kaheñ ham
jo kuchh āmāl-o-kartab haiñ hamāre
ilāhī ḳhūb-rūyoñ se bachānā
vo dushman dil ke beDhab haiñ hamāre
kahāñ ham aur kahāñ farhād-o-majnūñ
ye donoñ tifl-e-maktab haiñ hamāre
jab is ke ghar gayā bolā ki chal be
bahut aise muqarrab haiñ hamāre
kabhī ik din na us ke muñh se niklā
ye hamdam haiñ musāhib haiñ hamāre
'turāb' us kī talab hai farz ham par
hazāroñ jis se matlab haiñ hamāre
jahan mein dost kya sab hain hamare
jo aqrab hain so aqrab hain hamare
hamein ghairon se kya ummid-e-yari
wo itne aashna kab hain hamare
mohabbat mein kisi se kya kahen hum
jo kuchh aamal-o-kartab hain hamare
ilahi KHub-ruyon se bachana
wo dushman dil ke beDhab hain hamare
kahan hum aur kahan farhad-o-majnun
ye donon tifl-e-maktab hain hamare
jab is ke ghar gaya bola ki chal be
bahut aise muqarrab hain hamare
kabhi ek din na us ke munh se nikla
ye hamdam hain musahib hain hamare
'turab' us ki talab hai farz hum par
hazaron jis se matlab hain hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.