jahan mein ishq ka sunte hain raula
jahāñ meñ 'ishq kā sunte haiñ raulā
kahīñ dekhā hai tum ne mere maulā
are dil 'ishq se bezār ho tū
jahāñ meñ mast hai ab sab se aulā
nahīñ miltā kisī ke saath ye dil
ilāhī kis tarh kā hai ye Doulā
na ham-sañg ho sakā aañsū ke gauhar
mohabbat kī tarāzū meñ jo taulā
lagā.ī aag kis ne mere dil meñ
jo in āñkhoñ meñ ye paanī hai khaulā
tire kūche meñ kyā qudrat jo aave
dahan se go nikāle 'ishq' Dholā
jahan mein 'ishq ka sunte hain raula
kahin dekha hai tum ne mere maula
are dil 'ishq se bezar ho tu
jahan mein mast hai ab sab se aula
nahin milta kisi ke sath ye dil
ilahi kis tarh ka hai ye Doula
na ham-sang ho saka aansu ke gauhar
mohabbat ki taraazu mein jo taula
lagai aag kis ne mere dil mein
jo in aankhon mein ye pani hai khaula
tere kuche mein kya qudrat jo aawe
dahan se go nikale 'ishq' Dhola
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.