jal ja۔un na kis tarh se aaram yahi hai
jal jā۔ūñ na kis tarh se ārām yahī hai
maiñ 'ishq kā banda huuñ mirā kaam yahī hai
dil de chuke ab jaan ko rakkhoge kahāñ tak
is shoḳh sitam-gār kā paiġhām yahī hai
kuchh mujh ko miyāñ zillat-o-'izzat se nahīñ kaam
badnām huā tujh se mirā naam yahī hai
juuñ sham.a na kar jalne meñ gardan ko are ḳham
us dāġh-e-mohabbat kā sar-anjām yahī hai
din-rāt mah-o-sāl ghaḌī-pal nahīñ ārām
ham jī chuke jo sub.h yahī shaam yahī hai
ḳhum-ḳhāna ko de aag vahī chashm hai kaafī
ye 'ishq kā hai mai-kada yaañ jaam yahī hai
jal ja۔un na kis tarh se aaram yahi hai
main 'ishq ka banda hun mera kaam yahi hai
dil de chuke ab jaan ko rakkhoge kahan tak
is shoKH sitam-gar ka paigham yahi hai
kuchh mujh ko miyan zillat-o-'izzat se nahin kaam
badnam hua tujh se mera nam yahi hai
jun shama na kar jalne mein gardan ko are KHam
us dagh-e-mohabbat ka sar-anjam yahi hai
din-raat mah-o-sal ghaDi-pal nahin aaram
hum ji chuke jo subh yahi sham yahi hai
KHum-KHana ko de aag wahi chashm hai kafi
ye 'ishq ka hai mai-kada yan jam yahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.