hawa har sans ki humse jo qimat le to kya hoga
havā har saañs kī ham se jo qīmat le to kyā hogā
kirāya dhuup kā sūraj agar māñge to kyā hogā
kahīñ duniyā kā kārobār Thap hokar na rah jaa.e
ḳhudā ke kaam sab karne lage bande to kyā hogā
ka.ī bātoñ se ab bhī be-ḳhabar haiñ to ye hālat hai
nigāhoñ se agar uTh jā.eñge parde to kyā hogā
kisī beTī ne apne baap se pūchhā ki abbū jī
yūñhī bāzār meñ bikte rahe dūlhe to kyā hogā
na koī chhīn le ma.asūmiyat un phuul chehroñ kī
baḌoñ jaisā dikhā.ī deñ agar bachche to kyā hogā
hai jab tak pyaar duniyā meñ chalegī saañs duniyā kī
magar kho jā.eñge jab pyaar ke jazbe to kyā hogā
abhī to sirf ta.abīreñ hī mahñgī haiñ yahāñ 'akbar'
ye socho ḳhvāb bhī ho jaa.eñ gar mahñge to kyā hogā
hawa har sans ki hum se jo qimat le to kya hoga
kiraya dhup ka suraj agar mange to kya hoga
kahin duniya ka karobar Thap hokar na rah jae
KHuda ke kaam sab karne lage bande to kya hoga
kai baaton se ab bhi be-KHabar hain to ye haalat hai
nigahon se agar uTh jaenge parde to kya hoga
kisi beTi ne apne bap se puchha ki abbu ji
yunhi bazar mein bikte rahe dulhe to kya hoga
na koi chhin le masumiyat un phul chehron ki
baDon jaisa dikhai den agar bachche to kya hoga
hai jab tak pyar duniya mein chalegi sans duniya ki
magar kho jaenge jab pyar ke jazbe to kya hoga
abhi to sirf tabiren hi mahngi hain yahan 'akbar'
ye socho KHwab bhi ho jaen gar mahnge to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.