har chand lutf anjuman-araiyon mein tha
har chand lutf anjuman-ārā.iyoñ meñ thā
par vo maza alag thā jo tanhā.iyoñ meñ thā
alfāz meñ na Dhaal sakā us ko maiñ kabhī
jo dard merī ruuh kī gahrā.iyoñ meñ thā
dar khaTkāte kis kā ham insāf ke liye
munsif hamāre shahar kā balvā.iyoñ meñ thā
ġham ye nahīñ tamāshā banāyā gayā merā
ġham ye hai merā bhaa.ī tamāshā.iyoñ meñ thā
tārīḳh ham pe ro.egī ye kah ke ek din
ahl-e-vafā kā naam bhī harjā.iyoñ meñ thā
kyā karte le ke muft meñ pūnam kī chāñdnī
uljhā huā dimāġh to mahañgā.iyoñ meñ thā
rishtoñ kā desh chhoḌ ke niklā to yuuñ lagā
jaise maiñ jītī-jāgtī parchhā.iyoñ meñ thā
nikle nahīñ the puurī tarah jis ke bāl-o-par
us kā ḳhayāl arsh kī ūñchā.iyoñ meñ thā
mushk-o-gulāb-sā kisī parda-nashīñ kā naam
'akbar' hamāre hisse kī rusvā.iyoñ meñ thā
har chand lutf anjuman-araiyon mein tha
par wo maza alag tha jo tanhaiyon mein tha
alfaz mein na Dhaal saka us ko main kabhi
jo dard meri ruh ki gahraiyon mein tha
dar khaTkate kis ka hum insaf ke liye
munsif hamare shahar ka balwaiyon mein tha
gham ye nahin tamasha banaya gaya mera
gham ye hai mera bhai tamashaiyon mein tha
tariKH hum pe roegi ye kah ke ek din
ahl-e-wafa ka nam bhi harjaiyon mein tha
kya karte le ke muft mein punam ki chandni
uljha hua dimagh to mahangaiyon mein tha
rishton ka desh chhoD ke nikla to yun laga
jaise main jiti-jagti parchhaiyon mein tha
nikle nahin the puri tarah jis ke baal-o-par
us ka KHayal arsh ki unchaiyon mein tha
mushk-o-gulab-sa kisi parda-nashin ka nam
'akbar' hamare hisse ki ruswaiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.