jalwa jo tere ruḳh kā ehsās meñ Dhal jae
jalva jo tire ruḳh kā ehsās meñ Dhal jaa.e
is ālam-e-hastī kā aalam hī badal jaa.e
un mast nigāhoñ kā ik daur jo chal jaa.e
ham dard ke māroñ kī taqdīr badal jaa.e
masrūf-e-ibādat kā yuuñ ḳhatm ho afsāna
sar ho tirī chaukhaT pe dam merā nikal jaa.e
tū laakh bachā dāman dar se na uThūñgā maiñ
un meñ se nahīñ huuñ maiñ Taale se jo Tal jaa.e
ai jān-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de
aisā na ho dīvāna qadmoñ pe machal jaa.e
hasrat bharī āñkhoñ meñ ik pal ke liye aa jā
dekhe jo terī sūrat dīvāna bahal jaa.e
tū aag mohabbat kī bhar de mirī nas nas meñ
har zarra mire dil kā is aag meñ jal jaa.e
bijlī tire jalvoñ kī gir jaa.e kabhī mujh par
ai jaan mirī hastī is aag meñ jal jaa.e
ai chāragaro dekho bīmār-e-mohabbat huuñ
tadbīr karo aisī dil jis se bahal jaa.e
tū jazb-e-mohabbat meñ kar le vo asar paidā
jis samt nazar uTThe ik tiir sā chal jaa.e
pāmāl-e-rah-e-ulfat ho jā.ūñ mohabbat meñ
vo shoḳh agar mujh ko qadmoñ se masal jaa.e
taqdīr kare ehsāñ yuuñ ba.ad-e-'fanā' mujh par
ḳhāk-e-dar-e-jānāna muñh par mire mal jaa.e
jalwa jo tere ruḳh kā ehsās meñ Dhal jae
is ālam-e-hastī kā aalam hī badal jae
un mast nigāhoñ kā ek daur jo chal jae
hum dard ke māroñ kī taqdīr badal jae
masrūf-e-ibādat kā yuñ ḳhatm ho afsāna
sar ho tirī chaukhaT pe dam merā nikal jae
tū lakh bachā dāman dar se na uThūñgā maiñ
un meñ se nahīñ huñ maiñ Tale se jo Tal jae
ai jān-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de
aisā na ho dīwāna qadmoñ pe machal jae
hasrat bharī āñkhoñ meñ ek pal ke liye aa jā
dekhe jo terī sūrat dīwāna bahal jae
tū aag mohabbat kī bhar de mirī nas nas meñ
har zarra mere dil kā is aag meñ jal jae
bijlī tere jalwoñ kī gir jae kabhī mujh par
ai jaan mirī hastī is aag meñ jal jae
ai chāragaro dekho bīmār-e-mohabbat huñ
tadbīr karo aisī dil jis se bahal jae
tū jazb-e-mohabbat meñ kar le wo asar paidā
jis samt nazar uTThe ek tir sā chal jae
pāmāl-e-rah-e-ulfat ho jāūñ mohabbat meñ
wo shoḳh agar mujh ko qadmoñ se masal jae
taqdīr kare ehsāñ yuñ baad-e-'fanā' mujh par
ḳhāk-e-dar-e-jānāna muñh par mere mal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.