jalwa mujhe dikhla kar diwana bana Dala
jalva mujhe dikhlā kar dīvāna banā Daalā
hastī ko merī tū ne afsāna banā Daalā
ab dhaḌkaneñ ban kar tū is dil meñ dhaḌaktā hai
rag rag ko merī apnā kāshāna banā Daalā
nazroñ se pilā.ī vo tauhīd kī mai tū ne
vahdat kā mujhe tū ne mai-ḳhāna banā Daalā
utre na nasha jis kā tā-roz-e-abad saaqī
mastī kā mujhe aisā mastāna banā Daalā
ab rāz-e-anal-haq ke pardoñ ko uThā 'kāvish'
sar-tā-ba-qadam mujh ko jānāna banā Daalā
jalwa mujhe dikhla kar diwana bana Dala
hasti ko meri tu ne afsana bana Dala
ab dhaDkanen ban kar tu is dil mein dhaDakta hai
rag rag ko meri apna kashana bana Dala
nazron se pilai wo tauhid ki mai tu ne
wahdat ka mujhe tu ne mai-KHana bana Dala
utre na nasha jis ka ta-roz-e-abad saqi
masti ka mujhe aisa mastana bana Dala
ab raaz-e-anal-haq ke pardon ko uTha 'kawish'
sar-ta-ba-qadam mujh ko jaanana bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.