labon tak jis ke yaro aa gaya hai jam waris ka
laboñ tak jis ke yaaro aa gayā hai jaam vāris kā
fanā fil-shaīḳh hokar ho gayā vo raam vāris kā
huā behosh jis ne Daalī aañkh us ke ḳhaal aur ḳhat par
phañsā.e ḳhalq ko rakhtā hai daana daam vāris kā
tasadduq se mohammad mustafā ke pal meñ mahshar ke
utar jā.egā misl-e-bād fauran al-am vāris kā
yahī hai raat din 'jañgalī' ko shaġhl-o-mashġhila yaaro
tasavvur bas rahā karatā hai sub.h-o-shām vāris kā
labon tak jis ke yaro aa gaya hai jam waris ka
fana fil-shaiKH hokar ho gaya wo ram waris ka
hua behosh jis ne Dali aankh us ke KHal aur KHat par
phansae KHalq ko rakhta hai dana dam waris ka
tasadduq se mohammad mustafa ke pal mein mahshar ke
utar jaega misl-e-baad fauran al-am waris ka
yahi hai raat din 'jangali' ko shaghl-o-mashghila yaro
tasawwur bas raha karata hai subh-o-sham waris ka
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 29)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.