nigah-e-naz ka ehsan hai dil-afgaron par
nigah-e-nāz kā ehsāñ hai dil-afgāroñ par
tīr-e-mizhgāñ kī navāzish hai jigar-pāroñ par
ho gayā ain-e-taḳhayyul meñ visāl-e-dilbar
merī ġhaflat bhī sharf le ga.ī hoshyāroñ par
kHāna-e-pīr-e-muġhāñ barsoñ thā apnā maskan
duḳhtar-e-raz kī ināyat thī jo kHumāroñ par
ek qatra bhī jo vaa.iz ko mayassar aatā
ta.an-e-kotāh se ishq ke sarshāroñ par
ġhamza-o-ishva-o-andāz-o-adā-e-qātil
dil ko ham kar chuke taqsīm inhīñ do chāroñ par
chal junūñ bādiya-paimā.ī se sū-e-gulshan
aaj masrūf-e-ināyat hai vo gulzāroñ par
dil ko kis tarah se ham pher leñ ab dilbar se
bas to chaltā hai kisī kā nahīñ dil-dāroñ par
ho gayā dāman-e-dildār kā mujh ko dhoka
shab ko ik dam jo nazar paḌ ga.ī sayyāroñ par
nargisī chashm se jā kar koī itnā kah de
hālat-e-naza.a hai taarī tire bīmāroñ par
daulat-e-vasl but-sīm-badan se thī ġhanī
ham ko kuchh rashk na aayā kabhī zar-dāroñ par
chashm mīgoñ ke tasavvur meñ kisī kī 'jauhar'
saḳht dil dauḌte haiñ āñsuoñ ke tāroñ par
nigah-e-naz ka ehsan hai dil-afgaron par
tir-e-mizhgan ki nawazish hai jigar-paron par
ho gaya ain-e-taKHayyul mein visal-e-dilbar
meri ghaflat bhi sharf le gai hoshyaron par
kHana-e-pir-e-mughan barson tha apna maskan
duKHtar-e-raz ki inayat thi jo kHumaron par
ek qatra bhi jo waiz ko mayassar aata
tan-e-kotah se ishq ke sarshaaron par
ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada-e-qatil
dil ko hum kar chuke taqsim inhin do chaaron par
chal junun baadiya-paimai se su-e-gulshan
aaj masruf-e-inayat hai wo gulzaron par
dil ko kis tarah se hum pher len ab dilbar se
bas to chalta hai kisi ka nahin dil-daron par
ho gaya daman-e-dildar ka mujh ko dhoka
shab ko ek dam jo nazar paD gai sayyaron par
nargisi chashm se ja kar koi itna kah de
haalat-e-naza hai tari tere bimaron par
daulat-e-wasl but-sim-badan se thi ghani
hum ko kuchh rashk na aaya kabhi zar-daron par
chashm migon ke tasawwur mein kisi ki 'jauhar'
saKHt dil dauDte hain aansuon ke taron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.