aankhon mein rang-o-nur ka manzar sameT lo
āñkhoñ meñ rañg-o-nūr kā manzar sameT lo
jo dil ko de sukūn vo paikar sameT lo
qatroñ se bujh na pā.egī barsoñ kī pyaas ye
ai tishna kaam aao samundar sameT lo
patthar-diloñ ko narm na kar pāoge kabhī
ashkoñ ko apnī āñkhoñ ke andar sameT lo
aage hai rahzanoñ kā Thikāna ye jaan lo
ab qāfila ko ai mere rahbar sameT lo
shīshe ke shahar meñ yuuñ rahte ho to raho
lekin jahāñ bhī dekh lo patthar sameT lo
baḌhte vo aa rahe haiñ añdheroñ ke qāfile
tum ai ujāloñ apnā ye daftar sameT lo
masjid meñ hone vaalī hai jauhar azān-e-sub.h
ab to ḳhudā ke vāste bistar sameT lo
aankhon mein rang-o-nur ka manzar sameT lo
jo dil ko de sukun wo paikar sameT lo
qatron se bujh na paegi barson ki pyas ye
ai tishna kaam aao samundar sameT lo
patthar-dilon ko narm na kar paoge kabhi
ashkon ko apni aankhon ke andar sameT lo
aage hai rahzanon ka Thikana ye jaan lo
ab qafila ko ai mere rahbar sameT lo
shishe ke shahar mein yun rahte ho to raho
lekin jahan bhi dekh lo patthar sameT lo
baDhte wo aa rahe hain andheron ke qafile
tum ai ujalon apna ye daftar sameT lo
masjid mein hone wali hai jauhar azan-e-subh
ab to KHuda ke waste bistar sameT lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.