ye andhera pahle suraj ko chura le jaega
ye añdherā pahle sūraj ko churā le jā.egā
phir zamāne se ujāloñ ko uThā le jā.egā
tapte sahrā kī bujhāne tishnagī ke vāste
apnī āñkhoñ meñ samundar vo chhupā le jā.egā
jis jagah par chal rahī haiñ nafratoñ kī āñdhi.yāñ
pyaar kī sham.a koī kaise jalā le jā.egā
hādisa koī na aa.egā safar meñ us ko pesh
saath apne jo koī maañ kī duā le jā.egā
zard patte is liye haiñ ḳhauf se sahme hue
koī jhoñkā aa.egā ham ko uḌā le jā.egā
maiñ ḳhayāloñ ke safar meñ bhuul sā ye bhī gayā
apne ghar tak kaun sā ab rāsta le jā.egā
tīrgī kā ḳhauf 'jauhar' na koī rahzan kā Dar
jo safar meñ saath ishq-e-mustafā le jā.egā
ye andhera pahle suraj ko chura le jaega
phir zamane se ujalon ko uTha le jaega
tapte sahra ki bujhane tishnagi ke waste
apni aankhon mein samundar wo chhupa le jaega
jis jagah par chal rahi hain nafraton ki aandhiyan
pyar ki shama koi kaise jala le jaega
hadisa koi na aaega safar mein us ko pesh
sath apne jo koi man ki dua le jaega
zard patte is liye hain KHauf se sahme hue
koi jhonka aaega hum ko uDa le jaega
main KHayalon ke safar mein bhul sa ye bhi gaya
apne ghar tak kaun sa ab rasta le jaega
tirgi ka KHauf 'jauhar' na koi rahzan ka Dar
jo safar mein sath ishq-e-mustafa le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.