jaur-e-mahbub se hum mail-e-fariyaad nahin
jaur-e-mahbūb se ham mā.il-e-fariyād nahīñ
naġhma-e-aish hai ye shikva-e-be-dād nahīñ
ahad-e-paimān-o-mohabbat jo hue the ham se
mujh ko yaad sabhī aap ko go yaad nahīñ
log kahte haiñ mohabbat meñ ḳhudā miltā hai
lekin apnī hai ye hālat ki ḳhudā yaad nahīñ
āñkhoñ āñkhoñ hī meñ khul jaate haiñ lākhoñ asrār
dars-e-ulfat ke liye hājat-e-ustād nahīñ
gar sitam mujh pe na karte to sitam thā mujh par
mujh pe bedād jo kī hai to ye bedād nahīñ
kyuuñ ta.ajjub hai use dekh ke tujh ko ai dil
jalva-e-husn-e-azal hai tujhe kyā yaad nahīñ
ai 'valī' dekh kisī mast ke dāman ko na chheḌ
be-ḳhabar apnā garebāñ tujhe yaad nahīñ
jaur-e-mahbub se hum mail-e-fariyaad nahin
naghma-e-aish hai ye shikwa-e-be-dad nahin
ahad-e-paiman-o-mohabbat jo hue the hum se
mujh ko yaad sabhi aap ko go yaad nahin
log kahte hain mohabbat mein KHuda milta hai
lekin apni hai ye haalat ki KHuda yaad nahin
aankhon aankhon hi mein khul jate hain lakhon asrar
dars-e-ulfat ke liye hajat-e-ustad nahin
gar sitam mujh pe na karte to sitam tha mujh par
mujh pe bedad jo ki hai to ye bedad nahin
kyun tajjub hai use dekh ke tujh ko ai dil
jalwa-e-husn-e-azal hai tujhe kya yaad nahin
ai 'wali' dekh kisi mast ke daman ko na chheD
be-KHabar apna gareban tujhe yaad nahin
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 189)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.