jaur karte jaiye aur muskuraate jaiye
jaur karte jā.iye aur muskurāte jā.iye
shikva-e-ulfat ko shukrāna banāte jā.iye
jī meñ aatī hai na.e fitne uThāte jā.iye
dil ke zarre ḳhāk-e-gulshan meñ milāte jā.iye
ai junūn-e-shauq-e-manzil tū hai sab se pesh-pesh
kyuuñ na mīr-e-kārvāñ tujh ko banāte jā.iye
surḳhiyāñ tarkīb pā jaa.eñ jo husn-o-ishq kī
dil ke do harfoñ ko afsāna banāte jā.iye
silsile meñ ishq ke hai ek hī sūd-o-ziyāñ
jis qadar kho jā.iye utnā hī paate jā.iye
ai 'sulaimāñ' dard se jin ke muzzakā hoñ na dil
gufta-e-'sīmāb' kuchh un ko sunāte jā.iye
jaur karte jaiye aur muskuraate jaiye
shikwa-e-ulfat ko shukrana banate jaiye
ji mein aati hai nae fitne uThate jaiye
dil ke zarre KHak-e-gulshan mein milate jaiye
ai junun-e-shauq-e-manzil tu hai sab se pesh-pesh
kyun na mir-e-karwan tujh ko banate jaiye
surKHiyan tarkib pa jaen jo husn-o-ishq ki
dil ke do harfon ko afsana banate jaiye
silsile mein ishq ke hai ek hi sud-o-ziyan
jis qadar kho jaiye utna hi pate jaiye
ai 'sulaiman' dard se jin ke muzzaka hon na dil
gufta-e-'simab' kuchh un ko sunate jaiye
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 234)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.