jaur-o-jafa ka mujhse gila bhi na ho sake
jaur-o-jafā kā mujh se gila bhī na ho sake
pās-e-adab se tark-e-jafā bhī na ho sake
ik vo ki be-kahe hameñ detā hai ne.amateñ
ik ham ki ham se shukr adā bhī na ho sake
barq-e-ġhazab ne ḳhirman-e-hastī jalā diyā
ham kāmyāb-e-sair-o-qazā bhī na ho sake
tauba kā TūTnā thā ki ruḳhsat huī bahār
ehsān-mand-e-jurm-o-ḳhatā bhī na ho sake
mujh se shab-e-firāq kī majbūriyāñ na pūchh
nā-tāqatī se nāla-sarā bhī na ho sake
jaur-o-jafa ka mujh se gila bhi na ho sake
pas-e-adab se tark-e-jafa bhi na ho sake
ek wo ki be-kahe hamein deta hai neamaten
ek hum ki hum se shukr ada bhi na ho sake
barq-e-ghazab ne KHirman-e-hasti jala diya
hum kaamyab-e-sair-o-qaza bhi na ho sake
tauba ka TuTna tha ki ruKHsat hui bahaar
ehsan-mand-e-jurm-o-KHata bhi na ho sake
mujh se shab-e-firaq ki majburiyan na puchh
na-taqati se nala-sara bhi na ho sake
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 192)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.