jawani talak lutf tha zindagi ka
javānī talak lutf thā zindagī kā
buḌhāpe ne khoyā mazā zindagī kā
na tujh se milā jo yahāñ jiite jiite
use umr bhar ġham rahā zindagī kā
masīhā-nafas tujh ko kahte haiñ āshiq
tire dam se hī aasrā zindagī kā
sunā de use qum-bi-iznī kā naġhma
dikhā de zara mo.ajiza zindagī kā
jo duniyā meñ rah ke huā haq se ġhāfil
natīja use kyā milā zindagī kā
bahār aa.ī phir bulbuleñ jī uTheñgī
sunātī hai muzda sabā zindagī kā
'turāb' us ko ik dam na tū bhuul jaanā
bharosa hai piirī meñ kyā zindagī kā
jawani talak lutf tha zindagi ka
buDhape ne khoya maza zindagi ka
na tujh se mila jo yahan jite jite
use umr bhar gham raha zindagi ka
masiha-nafas tujh ko kahte hain aashiq
tere dam se hi aasra zindagi ka
suna de use qum-bi-izni ka naghma
dikha de zara moajiza zindagi ka
jo duniya mein rah ke hua haq se ghafil
natija use kya mila zindagi ka
bahaar aai phir bulbulen ji uThengi
sunati hai muzda saba zindagi ka
'turab' us ko ek dam na tu bhul jaana
bharosa hai piri mein kya zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.