jidhar dekhta hun jahan dekhta hun
jidhar dekhtā huuñ jahāñ dekhtā huuñ
ḳhudā hī kā jalva ayaañ dekhtā huuñ
na tan dekhtā huuñ na jaañ dekhtā huuñ
tujhī ko ayaañ aur nihāñ dekhtā huuñ
agar koī jaane jahāñ ġhair-e-haq hai
so maiñ us ko dhokā gumāñ dekhtā huuñ
ye jo kuchh ki paidā hai sab ain-e-haq hai
ki ik bahr-e-hastī ravāñ dekhtā huuñ
jise zāt-e-be-rañg-o-be-chūñ kaheñ ham
bahar-rañg jalva-kunāñ dekhtā huuñ
'niyāz' ab huā nā-tavānī se tū piir
vale 'ishq terā javāñ dekhtā huuñ
jidhar dekhta hun jahan dekhta hun
KHuda hi ka jalwa ayan dekhta hun
na tan dekhta hun na jaan dekhta hun
tujhi ko ayan aur nihan dekhta hun
agar koi jaane jahan ghair-e-haq hai
so main us ko dhoka guman dekhta hun
ye jo kuchh ki paida hai sab ain-e-haq hai
ki ek bahr-e-hasti rawan dekhta hun
jise zat-e-be-rang-o-be-chun kahen hum
bahar-rang jalwa-kunan dekhta hun
'niyaz' ab hua na-tawani se tu pir
wale 'ishq tera jawan dekhta hun
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 146)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.