jigar mein dard bhi hai aur dil niDhaal bhi hai
jigar mein dard bhi hai aur dil niDhaal bhi hai
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
jigar meñ dard bhī hai aur dil niDhāl bhī hai
batā.e hālat-e-dil kaun mujh meñ haal bhī hai
ye dil hai vahī jo tum le uḌe the chal kar chaal
sitam ye hai ki vahī aaj pā.emāl bhī hai
qiyāmat aa.ī to ye terī chaal dekhne ko
use ḳhabar nahīñ ye dam meñ pā.emāl bhī hai
ḳharāb ho ke banā qais dasht-e-vahshat meñ
zavāl bhī hai usī ishq meñ kamāl bhī hai
ham is meñ raazī haiñ tum āshiqoñ ko qatl karo
magar ḳhayāl rahe aadmī kā kaal bhī hai
mare hue ho butoñ par jo dil se tum 'akbar'
ḳhudā ko muñh bhī dikhānā hai kuchh ḳhayāl bhī hai
jigar mein dard bhi hai aur dil niDhaal bhi hai
batae haalat-e-dil kaun mujh mein haal bhi hai
ye dil hai wahi jo tum le uDe the chal kar chaal
sitam ye hai ki wahi aaj paemal bhi hai
qiyamat aai to ye teri chaal dekhne ko
use KHabar nahin ye dam mein paemal bhi hai
KHarab ho ke bana qais dasht-e-wahshat mein
zawal bhi hai usi ishq mein kamal bhi hai
hum is mein raazi hain tum aashiqon ko qatl karo
magar KHayal rahe aadmi ka kal bhi hai
mare hue ho butoñ par jo dil se tum 'akbar'
KHuda ko munh bhi dikhana hai kuchh KHayal bhi hai
- Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 138)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.