ishq ne toDi sar pe qayamat zor-e-qayamat kya kahiye
ishq ne toDi sar pe qayamat zor-e-qayamat kya kahiye
Jigar Moradabadi
MORE BYJigar Moradabadi
ishq ne toḌī sar pe qayāmat zor-e-qayāmat kyā kahiye
sunñe vaalā koī nahīñ rūdād-e-mohabbat kyā kahiye
dil hai kisī kā rāz-e-haqīqat rāz-e-haqīqat kyā kahiye
hairat-e-jalva mohr-ba-lab hai jalva-e-hairat kyā kahiye
jab se us ne pher liiñ nazreñ rañg-e-tabāhī aah na pūchh
siina ḳhālī āñkheñ vīrāñ dil kī hālat kyā kahiye
ek tajallī ek tabassum ek nigāh banda-navāz
is liye ziyāda ai ġham-e-jānāñ dil kī qīmat kyā kahiye
shīsha-e-dil vo hastī-e-nāzuk Thes lagī aur TuuT gayā
us pe kisī ke tiir sitam ke mashq-e-siyāsat kyā kahiye
ishq ne toDi sar pe qayamat zor-e-qayamat kya kahiye
sunne wala koi nahin rudad-e-mohabbat kya kahiye
dil hai kisi ka raaz-e-haqiqat raaz-e-haqiqat kya kahiye
hairat-e-jalwa mohr-ba-lab hai jalwa-e-hairat kya kahiye
jab se us ne pher lin nazren rang-e-tabahi aah na puchh
sina KHali aankhen viran dil ki haalat kya kahiye
ek tajalli ek tabassum ek nigah banda-nawaz
is liye ziyaada ai gham-e-jaanan dil ki qimat kya kahiye
shisha-e-dil wo hasti-e-nazuk Thes lagi aur TuT gaya
us pe kisi ke tir sitam ke mashq-e-siyasat kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.