mohabbat mein ye kya maqam aa rahe hain
mohabbat meñ ye kyā maqām aa rahe haiñ
ki manzil pe haiñ aur chale jā rahe haiñ
ye kah kah ke ham dil ko bahlā rahe haiñ
vo ab chal chuke haiñ vo ab aa rahe haiñ
vo az-ḳhud hī nādim hue jā rahe haiñ
ḳhudā jaane kyā kyā ḳhayāl aa rahe haiñ
hamāre hī dil se maze un ke pūchho
vo dhoke jo dānista ham khā rahe haiñ
jafā karne vāloñ ko kyā ho gayā hai
vafā kar ke bhī ham to sharmā rahe haiñ
vo aalam hai ab yaaro aġhyār kaise
hamīñ apne dushman hue jā rahe haiñ
mizāj-e-girāmī kī ho ḳhair yā-rab
ka.ī din se aksar vo yaad aa rahe haiñ
mohabbat mein ye kya maqam aa rahe hain
ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain
ye kah kah ke hum dil ko bahla rahe hain
wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain
wo az-KHud hi nadim hue ja rahe hain
KHuda jaane kya kya KHayal aa rahe hain
hamare hi dil se maze un ke puchho
wo dhoke jo danista hum kha rahe hain
jafa karne walon ko kya ho gaya hai
wafa kar ke bhi hum to sharma rahe hain
wo aalam hai ab yaro aghyar kaise
hamin apne dushman hue ja rahe hain
mizaj-e-girami ki ho KHair ya-rab
kai din se aksar wo yaad aa rahe hain
- Book : Kulliyat-e-Jigar (Pg. 64)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.