allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin
allāh agar taufīq na de insāñ ke bas kā kaam nahīñ
faizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ
ye tū ne kahā kyā ai nādāñ fayyāzī-e-qudrat aam nahīñ
tū fikr-o-nazar to paidā kar kyā chiiz hai jo in.aam nahīñ
yārab ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñ
taskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ
kyuuñ mast-e-sharāb-e-aish-o-tarab taklīf-e-tavajjoh farmā.eñ
āvāz-e-shikast-e-dil hī to hai āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ
aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aa
ai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ
zāhid ne kuchh us andāz se pī saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñ
mai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ
ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnī
dil kī bhī kuchh un ke sāzish hai tanhā ye nazar kā kaam nahīñ
sab jis ko asīrī kahte haiñ vo to hai amīrī hī lekin
vo kaun sī āzādī hai yahāñ jo aap ḳhud apnā daam nahīñ
allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin
faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin
ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin
tu fikr-o-nazar to paida kar kya chiz hai jo inam nahin
yarab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakaam nahin
taskin hai aur taskin nahin aaram hai aur aaram nahin
kyun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tawajjoh farmaen
aawaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaz-e-shikast-e-jam nahin
aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindar-e-KHudi ko toD ke aa
ai hosh-o-KHirad ke diwane yan hosh-o-KHirad ka kaam nahin
zahid ne kuchh us andaz se pi saqi ki nigahen paDne lagin
mai-kash yahī ab tak samjhe the shaista daur-e-jam nahin
ishq aur gawara KHud kar le be-shart shikast-e-fash apni
dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin
sab jis ko asiri kahte hain wo to hai amiri hi lekin
wo kaun si aazadi hai yahan jo aap KHud apna dam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.