KHataon se pahle pashemaniyan hain
ḳhatāoñ se pahle pashemāniyāñ haiñ
mohabbat kī ma.asūm nādāniyāñ haiñ
qayāmat tirī jalva-sāmāniyāñ haiñ
jidhar dekhtā huuñ pareshāniyāñ haiñ
dil-o-jān-o-hasrat haiñ qurbāniyāñ haiñ
ḳhushā vo ki jis kī ye mehmāniyāñ haiñ
musalsal ġham-o-dard pachhtā rahā huuñ
pashemāniyoñ kī pashemāniyāñ haiñ
azal kī jo dil ke muqaddar paḌī thiiñ
vahī aaj tak sho.ala-sāmāniyāñ haiñ
diloñ par hukūmat nigāhoñ se parde
jahāñbāniyāñ haiñ sitam-rāniyāñ haiñ
tajassus meñ shāmil tahayyur meñ pinhāñ
nazar-soziyāñ haiñ nigahbāniyāñ haiñ
vo dushvāriyāñ ishq kī hal ho kyūñkar
jo dushvāriyāñ haiñ na āsāniyāñ haiñ
mohabbat ke jalve nahīñ husn se kam
unheñ bhī mire saath hairāniyāñ haiñ
tire jalva-o-juzv-e-kul ke tasadduq
na ab hasrateñ haiñ na hairāniyāñ haiñ
ġhazab meñ phañsī haiñ merā saath de kar
pareshāniyoñ ko pareshāniyāñ haiñ
dar-e-but-kada aur sajdoñ pe sajde
'jigar' vaah kyā kufr-sāmāniyāñ haiñ
KHataon se pahle pashemaniyan hain
mohabbat ki masum nadaniyan hain
qayamat teri jalwa-samaniyan hain
jidhar dekhta hun pareshaniyan hain
dil-o-jaan-o-hasrat hain qurbaniyan hain
KHusha wo ki jis ki ye mehmaniyan hain
musalsal gham-o-dard pachhta raha hun
pashemaniyon ki pashemaniyan hain
azal ki jo dil ke muqaddar paDi thin
wahi aaj tak shoala-samaniyan hain
dilon par hukumat nigahon se parde
jahanbaniyan hain sitam-raniyan hain
tajassus mein shamil tahayyur mein pinhan
nazar-soziyan hain nigahbaniyan hain
wo dushwariyan ishq ki hal ho kyunkar
jo dushwariyan hain na aasaniyan hain
mohabbat ke jalwe nahin husn se kam
unhen bhi mere sath hairaniyan hain
tere jalwa-o-juzw-e-kul ke tasadduq
na ab hasraten hain na hairaniyan hain
ghazab mein phansi hain mera sath de kar
pareshaniyon ko pareshaniyan hain
dar-e-but-kada aur sajdon pe sajde
'jigar' wah kya kufr-samaniyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.