mohabbat hain jidhar dekho bahaar-e-jawedani hai
mohabbat haiñ jidhar dekho bahār-e-jāvedānī hai
hujūm-e-rañg-o-bū hai husn-e-naġhma hai javānī hai
junūn-e-ishq meñ hāsil ye lutf-e-zindagānī hai
nazar ko dil se aur dil ko nazar se bad-gumānī hai
tire sar kī qasam tujh sā hī ik mahbūb-e-sānī hai
yahī naqsha yahī andāz aisī hī javānī hai
ḳhudā-yā ḳhair karnā nabz bīmār-e-mohabbat kī
ka.ī din se bahut barham mizāj-e-nā-tavānī hai
kisī ko aaj majbūr-e-tarannum kar bhī de ai dil
bahut muddat huī ḳhāmosh sāz-e-lan-tarānī hai
tujhe ai ishq siine se lagāuñ dīda-o-dil hai
tire har dard meñ pinhāñ nashāt-e-jāvedānī hai
ye batlā aur kuchh tere sivā kaunain meñ bhī hai
ye maanā jo bhī hai tere sivā ai dost faanī hai
na kar ālūda-e-lafz-o-bayāñ sharh-e-mohabbat ko
mohabbat hī bajā-e-ḳhud zabān-e-be-zabānī hai
tire husn-e-hayāt-afroz ko dekhā hai jis din se
bahut mujh ko aziiz us din se apnī zindagānī hai
ilāhī sharm tere haath hai ādāb-e-mahfil kī
vo nāzuk-tab.a mehmāñ hai junūñ kī mehmānī hai
liye phirtā huuñ ik tasvīr-e-hast apnī āñkhoñ meñ
ḳhudā baḳhshe dil-e-marhūm kī zinda nishānī hai
inheñ aañsū samajh kar yuuñ na miTTī meñ milā zālim
payām-e-dard-o-dil hai aur āñkhoñ kī zabānī hai
tire jaur-e-musalsal kī qasam o pūchhne vaale
'jigar' ke haal par terā karam hai mehrbānī hai
mohabbat hain jidhar dekho bahaar-e-jawedani hai
hujum-e-rang-o-bu hai husn-e-naghma hai jawani hai
junun-e-ishq mein hasil ye lutf-e-zindagani hai
nazar ko dil se aur dil ko nazar se bad-gumani hai
tere sar ki qasam tujh sa hi ek mahbub-e-sani hai
yahī naqsha yahī andaz aisi hi jawani hai
KHuda-ya KHair karna nabz bimar-e-mohabbat ki
kai din se bahut barham mizaj-e-na-tawani hai
kisi ko aaj majbur-e-tarannum kar bhi de ai dil
bahut muddat hui KHamosh saz-e-lan-tarani hai
tujhe ai ishq sine se lagaun dida-o-dil hai
tere har dard mein pinhan nashat-e-jawedani hai
ye batla aur kuchh tere siwa kaunain mein bhi hai
ye mana jo bhi hai tere siwa ai dost fani hai
na kar aaluda-e-lafz-o-bayan sharh-e-mohabbat ko
mohabbat hi baja-e-KHud zaban-e-be-zabani hai
tere husn-e-hayat-afroz ko dekha hai jis din se
bahut mujh ko aziz us din se apni zindagani hai
ilahi sharm tere hath hai aadab-e-mahfil ki
wo nazuk-taba mehman hai junun ki mehmani hai
liye phirta hun ek taswir-e-hast apni aankhon mein
KHuda baKHshe dil-e-marhum ki zinda nishani hai
inhen aansu samajh kar yun na miTTi mein mila zalim
payam-e-dard-o-dil hai aur aankhon ki zabani hai
tere jaur-e-musalsal ki qasam o puchhne wale
'jigar' ke haal par tera karam hai mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.