wo kafir aashna na-ashna yun bhi hai aur yun bhi
vo kāfir āshnā nā-āshnā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
hamāri ibtidā tā-intihā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ta.ajjub kyā agar rasm-e-vafā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ki husn-o-ishq kā har musalmāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kahīñ zarra kahīñ sahrā kahīñ qatra kahīñ dariyā
mohabbat aur us kā silsila yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
vo mujh se pūchhte haiñ ek maqsad merī hastī kā
batā.ūñ kyā ki merā mudda.ā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ham un se kyā kaheñ vo jāneñ un kī maslahat jaane
hamārā hāl-e-dil to barmalā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
na pā lenā tarā āsāñ na kho denā tarā mumkin
musībat meñ ye jān-e-mubtalā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ilāhī kis tarah aql-o-junūñ ko ek jā kar luuñ
ki manshā-e-nigāh ishva-zā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
majāzī se 'jigar' kah do are o aqal ke dushman
muqir ho yā koī munkir ḳhudā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
wo kafir aashna na-ashna yun bhi hai aur yun bhi
hamari ibtida ta-intiha yun bhi hai aur yun bhi
tajjub kya agar rasm-e-wafa yun bhi hai aur yun bhi
ki husn-o-ishq ka har musalman yun bhi hai aur yun bhi
kahin zarra kahin sahra kahin qatra kahin dariya
mohabbat aur us ka silsila yun bhi hai aur yun bhi
wo mujh se puchhte hain ek maqsad meri hasti ka
bataun kya ki mera muddaa yun bhi hai aur yun bhi
hum un se kya kahen wo jaanen un ki maslahat jaane
hamara haal-e-dil to barmala yun bhi hai aur yun bhi
na pa lena tara aasan na kho dena tara mumkin
musibat mein ye jaan-e-mubtala yun bhi hai aur yun bhi
ilahi kis tarah aql-o-junun ko ek ja kar lun
ki mansha-e-nigah ishwa-za yun bhi hai aur yun bhi
majazi se 'jigar' kah do are o aqal ke dushman
muqir ho ya koi munkir KHuda yun bhi hai aur yun bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.