ji mein aata hai but-e-kafir teri puja karun
jī meñ aatā hai but-e-kāfir tirī puujā karūñ
ā.īna tujh ko banā.ūñ aur maiñ dekhā karūñ
vaa.e nākāmī ki ab tak maiñ huuñ mahrūm-e-visāl
kyā yahī hai munsifī ki umr-bhar taḌpā karūñ
umr āḳhir ho ga.ī ai jān-e-ālam tā-ba-ke
dair meñ masjid meñ ka.aba meñ tujhe DhūñDā karūñ
jis kī hasrat hai mujhe miltā nahīñ vo māh-rū
ai falak hūrān-e-jannat le ke āḳhir kyā karūñ
ye bhī ik Dar hai kahīñ rusvā na ho qātil mirā
hashr meñ ḳhūn-e-tamannā kā agar da.avā karūñ
hai yahī apnī tamannā ai razā-e-vārsī
rū-ba-rū pīr-e-muġhāñ ho aur maiñ dekhā karūñ
ji mein aata hai but-e-kafir teri puja karun
aaina tujh ko banaun aur main dekha karun
wae nakaami ki ab tak main hun mahrum-e-visal
kya yahi hai munsifi ki umr-bhar taDpa karun
umr aaKHir ho gai ai jaan-e-alam ta-ba-ke
dair mein masjid mein kaba mein tujhe DhunDa karun
jis ki hasrat hai mujhe milta nahin wo mah-ru
ai falak huran-e-jannat le ke aaKHir kya karun
ye bhi ek Dar hai kahin ruswa na ho qatil mera
hashr mein KHun-e-tamanna ka agar dawa karun
hai yahi apni tamanna ai raza-e-warsi
ru-ba-ru pir-e-mughan ho aur main dekha karun
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 201)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.